ahbab ke qarib mohabbat se baithiye izzat jo mil gai hai to izzat se baithiye un ki gali mein jaana zaruri nahin magar jaana jo ho gaya to sharafat se baithiye anjam-e-ishq thik hi hoga janab-e-shaikh fursat se aa gae ho to fursat se baithiye sahil se har khushi ka nazara fuzul hai tufan-e-gham mein rah ke bhi himmat se baithiye nafrat ki baat karna gunah-e-azim hai mahbub ke qarib to chahat se baithiye rah rah ke gir rahi hain nigahon ki bijliyan aa kar hamare pas mohabbat se baithiye 'maikash' ko pine dijiye zulfon ki chhanw mein kuchh der us ke pas mohabbat se baithiye