jagti aankhon mein the kuchh KHwab main soya na tha

jagti aankhon mein the kuchh khwab main soya na tha
barha dekha tha jis ko us mein wo chehra na tha

rakh diya us ne mere chehre ke aage aaina
ye tamasha pas se main ne kabhi dekha na tha

meri sada-lauhi par hai kis liye wo khanda-zan
main ne chaha to bahut tha par use socha na tha

us se mil kar yun laga jaise wo juzw-e-jaan hai
us ki furqat ka mujhe ab koi andesha na tha

aaine sab tut kar ke reza reza ho gae
saikdon the aks un mein khud mera chehra na tha

zindagani ki haqiqat ho gai mujh par ayan
ye sarabon ka safar hogi 'zafar' socha na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close