jahan baat wahdat ki gahri rahegi wahan fikr apni na teri rahegi lajajat amiron se yak-dam utha de qanaat se apni faqiri rahegi na jine ki khwahish na marne ka gham hai jo haalat hai apni wo thahri rahegi mujalla hua jab se dil hai hamara na marqad mein apne andheri rahegi ghamand har tarah karna zeba nahin hai jawani kisi ki na piri rahegi khudai ki qudarat khudi se hai 'markaz' muqallid hain jab tak asiri rahegi