suKHan ko be-hisi ki qaid se bahar nikalun

sukhan ko be-hisi ki qaid se bahar nikalun
tumhaari did ka koi naya manzar nikalun

ye be-masraf si shai har gam aade aane wali
ana ki kenchuli ko jism se bahar nikalun

tilismi marke kahte hain ab sar ho chuke hain
zara zambil ke kone se main bhi sar nikalun

lahu mahka to sara shahr pagal ho gaya hai
main kis saf se uthun kis ke liye khanjar nikalun

bas ab to munjamid zehnon ki 'yawar' barf pighle
kahan tak apni istedad ke jauhar nikalun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close