jahan-e-bewafa kis ka dil-e-nashad hota hai

jahan-e-bewafa kis ka dil-e-nashad hota hai
yahan jo waza ka paband hai barbaad hota hai

ghanimat hai ki hain maujud abhi duniya mein diwane
bhala ahl-e-khirad se mai-kada aabaad hota hai

nazar milte hi dil se mahw ho jate hain sab shikwe
wafa yaksar bhula deti hai jo kuchh yaad hota hai

jo ek jaan-e-hazin thi lijiye wo bhi fida kar di
ab is ke baad kya mere liye irshad hota hai

idhar hai pas-e-tamkin us taraf pas-e-wafa hamdam
na husn aazad hota hai na ishq aazad hota hai

tere mehr-o-karam par is liye khamosh rahta hun
ki shukr-e-lutf bhi to shikwa-e-bedad hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close