hum Thahar pae na kabe mein na but-KHane mein

hum thahar pae na kabe mein na but-khane mein
umr guzri dil-e-shorida ke bahlane mein

aaj tak ho na sake mahram-e-asrar-e-junun
barsen guzrin hamein rahte hue virane mein

apne to apne rahe ghair bhi ro dete hain
aisi kya baat hai hamdam mere afsane mein

tang hai un ke liye aarzu-e-ishrat-e-dahr
shadman hain jo tere gham ke tarab-khane mein

jaan-gusil hi sahi 'ashufta' gham-e-dost magar
jaan-e-afsana yahi hai mere afsane mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close