jahan-e-reg tera aab dekhne ke liye

jahan-e-reg tera aab dekhne ke liye
mili hai aankh mujhe khwab dekhne ke liye

gahan laga de agar zulf se tu chehre par
main aankh phod lun mahtab dekhne ke liye

ye kya sitam hai ki aata hun ek sahra se
zara si ghas ko shadab dekhne ke liye

uthe the shauq se apna hi chain kho baithe
wo mere haal ko betab dekhne ke liye

lahu kiya hai jo pani to ab falah meri
chali hai jhum ke talab dekhne ke liye

zara sa aur thahar ja to par lagega tera
to hum bhi aaenge surkhab dekhne ke liye

pakad mein aa gaya ehsas chhup ke aaya tha
ghamon ki jhil mein sailab dekhne ke liye

tujhe parakh hi nahin hai main ek 'akhtar' hun
to phir taras tu mera khwab dekhne ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close