jahan-e-zat ke aafaq mein daricha mila qafas khula to kahin khak mein daricha mila kisi kitab ke alfaz qaid-khane hain kahin phate hue auraq mein daricha mila ye wahshaten tera diwana sah nahin paya junun ko daman-e-sad-chaak mein daricha mila hamare kamra-e-jaan mein andhere raushan the to hum ko jumla-e-laulak mein daricha mila latak raha hai jo manzar frame ke andar mujhe wahin khas-o-khashak mein daricha mila kisi ne kamra-e-khamoshi mein aman pai kisi ko gufta-e-bebak mein daricha mila nae makan ko aabaad karne ki khatir zamin pe dar mile aflak mein daricha mila dar-e-jahan-e-digar band hai har ek pe par har ek dida-e-namnak mein daricha mila labon ko kar ke muqaffal jo etakaf kiya ba-der hujra-e-idrak mein daricha mila