ek samt duniya mushtail aur ek taraf hai soz-e-dil sadiyon se jari hai ye panja-azmai mustaqil hone laga hai rafta rafta titliyon ka khun safed phulon ko bas is ranj ne hi kar diya hai muzmahil suraj se bach kar aa gaya ek ped ko apna liya aur wo shajar karne laga mujh mein hararat muntaqil dastak na de dastak na de dastak na de dil par mere khali makan hai naseha mat kar nigahban ko khajil jari hai kab se karobar-e-ishq kya batlaun main bazar ka to kya kahun aadam bhi the be-ab-o-gil mali mayassar hi nahin mali mayassar hi nahin bas dukh yahi lahaq hua hai is shajar ko jaan-gusil tha surat-e-raftar dil se aql ko aisa hasad ek aur dil hi ho gaya hai meri manzil mein mukhil