jahan-jahan se bhi jhilmil teri guzarti hai

jahan-jahan se bhi jhilmil teri guzarti hai
dilon ko aaina karti hui guzarti hai

nujum donon taraf saf-ba-saf khade hue hain
faza-e-shab se teri palki guzarti hai

tere baghair hamein sans tak nahin aati
kabhi to is se bhi mushkil ghadi guzarti hai

nashat-e-sham-e-tilismat ko dawam nahin
lahu se mauj-e-shafaq aarzi guzarti hai

ufuq pe rahti nahin der tak chamak meri
shahabi raushni yak-bargi guzarti hai

ye zindagi bhi ajab hai ki doston ke baghair
kabhi guzarti nahin hai kabhi guzarti hai

bas ek raat ka tukda hai kahkashan-asar
baqaya shab to andheron mein hi guzarti hai

hazar haal-o-maqamat se guzarta hai dil
nazar se masnawi-e-manawi guzarti hai

hayat apne tasalsul mein hai abad-ahang
ki ek guzar gai hai dusri guzarti hai

kasif dil se khushi mun'atif nahin hoti
siyah shishe se kab chandni guzarti hai

bhuchak ke dekhte hain bail-gadiyon wale
saron se koi udan tashtari guzarti hai

agar guzarta hai din mujh mein chhe mahinon ka
to itne arse ki phir raat bhi guzarti hai

khud apni aag mein jalti hai aundhe munh gir kar
ye kis azab se duniya teri guzarti hai

sharab o shahd ki nahren yahan nahin bahtin
zamin ke bagh se khun ki nadi guzarti hai

samay ke parda-e-simin pe kya dikhaen tumhein
jo la-shuur se be-manzari guzarti hai

guzar lete hain aakhir guzarne wale
hayat jaisi bhi achchhi buri guzarti hai

jahan sujud mein gir jaana chahiye us ko
wahan se khalq-e-khuda sarsari guzarti hai

daboch leta hai dil ka siyah rauzan use
qarib se jo koi raushni guzarti hai

makan koh-e-nida ke qarib hai 'shahid'
samaaton se nawa nit nai guzarti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close