kahin shab ke canwas par naya din ubhar raha hai mera dagh-e-na-rasai mera naqsh ban gaya hai main chala hun jangalon se kisi bagh-e-atishin tak mera zad khar-o-khas hai mera rang uda hua hai jo hai bazm hum se khali wo rahegi gham se khali jo jagah khushi se pur hai wo hamara hi khala hai abhi dekhiyega har-su mera khak-bos hona ki hawaen chal padi hain zar-e-gul bikhar chala hai dam-e-rafta ki sifat hai shab-o-roz mein na hona jahan waqt chal raha hai wahan mera kaam kya hai main yakayak apne gham se tere gham mein aa gaya hun abhi dhup pad rahi thi abhi meinh baras raha hai mera bais-e-numu hai tere gham ki zahr-naki jo fazaon mein dhuan hai wo darakht ki ghiza hai mutaharrik is qadar hai mera gard-baad-e-hasti koi dur se jo dekhe to lage ruka hua hai kahin chand ki kashish se hua madd-o-jazr paida kisi tab-e-rukh se mujh mein ye talatum uth raha hai jise aap kah rahe hain ki ghilaf hai hawa ka wo zamin ke chaar jaanib meri aah ki faza hai inhi dil ki sakhtiyon se kabhi ashk ubal padenge ki jahan pahadiyan hon wahin chashma phutta hai kahin misl-e-aina hain mutawazi kaenaten wahan ek aadmi hai jo hamari shakl ka hai wo jo wast-e-sina mein hai wo faza nahin kahin bhi wahan mausam aur kuchh hai jahan khatt-e-istawa hai main pada hua hun khud mein kahin be wajud 'shahid' meri ruh gum-shuda hai mera jism lapata hai