jahan khinch rahe hain kisi ke asar mein

jahan khinch rahe hain kisi ke asar mein
na jaane hai kitna fusun us nazar mein

teri justuju hi meri zindagi hai
mere naqsh-e-pa mein har ek rahguzar mein

meri rah manzil ne kyun rok li hai
abhi lutf aane laga tha safar mein

zamin ban gai aasman ban gae hain
khuda jaane kya khubiyan hain bashar mein

use dahr-e-fani se phir kya talluq
muqaddar jise lae teri nazar mein

raha din ka aur na duniya ka aakhir
ulajhta raha jo agar mein magar mein

wo zahir se hi dekh leta hai baatin
ye khubi faqat 'shauq' hai dida-war mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close