kaun hai kis ne pukara hai sada kaise hui ye kiran tariki-e-shab se riha kaise hui ek ek pal mein utar kar sochta rahta hun main nur kis ka hai mere khun mein ziya kaise hui khwahishen aaen kahan se kyun uchhalta hai lahu rut hari kyunkar hui pagal hawa kaise hui us ke jaane ka yaqin to hai magar uljhan mein hun phul ke hathon se ye khush-bu juda kaise hui wo macha hai ghul ki barham ho gai hain suraten kaun kis kis se ye puchhega khata kaise hui jism o jaan ka fasla hai hasil-e-gard-e-safar justuju-e-zindagi tera pata kaise hui hans diya tha sun ke wo 'sarmad' bas itna yaad hai baat us ke samne lekin ada kaise hui