jahan khud-gharziyan hon wo nagar achchha nahin lagta ki jis mein bhai ladte hun wo ghar achchha nahin lagta wo dastar-e-ana pahne qabile ka sitara hai amir-e-shahr ko lekin wo sar achchha nahin lagta jo walid ka budhape mein sahaara ban nahin sakta jo sach puchho to ho lakht-e-jigar achchha nahin lagta mujhe to pyar hai un se jo kaam aate hain auron ke faqat daulat kamane ka hunar achchha nahin lagta chaman ko raundne wale ko rahbar kis tarah manun wo khud achchha bane mujh ko magar achchha nahin lagta mujhe to pyar wali apni kutiya achchhi lagti hai jo aiwan nafraten de us ka dar achchha nahin lagta jo bachche bhul kar ranginiyon mein gharq ho jae khuda shahid hai mujh ko wo pidar achchha nahin lagta hadaf ho samne 'anwar' to chalte hi rahte hain sarabon ka hum ko safar achchha nahin lagta