na ho ya rab aisi tabiat kisi ki ki hans hans ke dekhe musibat kisi ki jafa un se mujh se wafa kaise chhute ye sach hai nahin chhutti aadat kisi ki achhuta jo gham ho to is mein bhi khush hun nahin mujh ko manzur shirkat kisi ki hasinon ki donon adaen hain dilbar kisi ki haya to shararat kisi ki mujhe gum-shuda dil ka gham hai to ye hai ki is mein bhari thi mohabbat kisi ki bahut roe hum yaad mein apne dil ki jahan dekhi nannhi si turbat kisi ki