jahan mabud thahraya gaya hun wahin suli pe latkaya gaya hun suna har bar mera kalma-e-sidq magar har bar jhuthlaya gaya hun kabhi mazi ka jaise tazkira ho zaban par is tarah laya gaya hun abhi tadfin baqi hai abhi to lahu se apne nahlaya gaya hun dawami azmaton ke maqbare mein hazaron bar dafnaya gaya hun taras kaisa ki is dar-ul-bala mein azal ke din se tarsaya gaya hun na jaane kaun se sanche mein dhaalen abhi to sirf pighlaya gaya hun main is hairat-sara-e-ab-o-gil mein ba-hukm-e-khas bhejwaya gaya hun