na jaane kyun sada hota hai ek sa anjam

na jaane kyun sada hota hai ek sa anjam
hum ek si to kahani sada nahin kahte

jidhar pahunchna hai aaghaz bhi wahin se hua
safar samajhte hain is ko saza nahin kahte

naya shuur nae istiare lata hai
azal se log khuda ko khuda nahin kahte

jo git chunte hain khamoshiyon ke sahra se
wo lab-kushaon ko raaz-ashna nahin kahte

faza ka lafz hai us ke liye alag maujud
jo ghar thaharti hai us ko hawa nahin kahte

zamane bhar se ulajhte hain jis ki jaanib se
akele-pan mein use hum bhi kya nahin kahte

jo dekh lete hain chizon ke aar-par 'malal'
kisi bhi chiz ko itna bura nahin kahte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close