jahan mein dalte rahte hain ma-siwa ki tarah darakht chal nahin sakte magar hawa ki tarah bhatak kar aai thi kuchh der ko idhar duniya lipat gai mere dil se kisi bala ki tarah mere hisar se bahar bhi wo nahin rahta mere qarib bhi aata nahin khuda ki tarah bahut se rang utarte hain meri aankhon mein kisi ke dhyan mein uljhi hui sada ki tarah utar gaya mere dil mein wo be-dhadak lekin labon par aa nahin paya hai muddaa ki tarah rawan-dawan hain mere aas-pas ki ashiya pada hua hun zamin par main naqsh-e-pa ki tarah simat sakunga na apne wajud mein 'sajid' pahan liya hai kisi ne mujhe qaba ki tarah