jahan mein har taraf dekha nahin hai gham-gusar apna

jahan mein har taraf dekha nahin hai gham-gusar apna
tamanna khwahishen ummid le baithin qarar apna

bahaaren andaliban-e-chaman ho ya pari-chehra
kisi par kab chala hai tamkanat mein eqtidar apna

tumhein malum hai jaana zamane ki pur-ashobi
isi khatir banaya hai tere dar ko dayar apna

falak ki rah mein kuchh timtimate hain jahan tare
isi dasht-e-farozan mein banega ek mazar apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close