har jaan ko yahan khatir-e-manzil-ba-safar hai maqsud-e-jahan kaamil-e-ashya-e-hunar hai khakistar-e-anwar lahu ban ke tajalli aaza-e-bashar mein koi dam-saz asar hai aashufta-sari rahbar-e-kashshaf-e-maqasid tund-rau-e-zamana mein bhi kotah-nazar hai is shorish-e-duniya mein jo dekho to mayassar ta-hadd-e-nazar hech nishanat-e-sahar hai kyon hon na pareshan ki yahan sahib-o-malik go hain ba-lab-e-marg nazar su-e-guhar hai duniya ke pas-o-pesh ko samjhoge kahan tak khul jae girah gar to yahan aur khatar hai