jahan mein jis ki shohrat ku-ba-ku hai wo mujh se aaj mahw-e-guftugu hai raha aabaad khwabon mein jo ab tak khusha qismat ki ab wo ru-ba-ru hai kabhi wo pyar se ek phul lae bahut din se meri ye aarzu hai nahin aata ghazal mein nam koi talluq is qadar ba-abru hai mera ehsas jis se hai moattar wahi khushbu to mere chaar-su hai sarapa mera jo hai itna rangin ye us ki yaad ka hi rang-o-bu hai jahan kal tak tha mayusi ka sahra wahan ummid ki ek aabju hai wo aawazen jo dil mein gunjti hain meri anfas ki wo haw-hu hai mujhe le jae jo manzil ki jaanib ab aise karwan ki justuju hai mera zahir nazar aata hai jaisa mera baatin bhi waisa hu-ba-hu hai 'sabila' soch itni pak rakkhi har ek mazmun mera ba-wazu hai