main ne bhi sina hawa-dar bana rakkha hai aankh ko rauzan-e-diwar bana rakkha hai ped ne ruthe hue mausam-e-gul ke gham mein shakh ko dast-e-aza-dar bana rakkha hai sang-e-khwahish kabhi dariya ke hawale na kiye phenkne ke liye kohsar bana rakkha hai main ne kaghaz ki zirah jism pe pahni hui hai aur qalam hath mein talwar bana rakkha hai sans lena bhi mere waste na-jaez hai khud ko yun main ne gunahgar bana rakkha hai wahi manzar jo idhar phaila nazar aaya tha wahi ab jhil ne us par bana rakkha hai