jahan-panah KHanuman hawa uDa ke le gai

jahan-panah khanuman hawa uda ke le gai
wo dil-nawaz bandiyan hawa uda ke le gai

fishaar zoaf-e-bah ka wabaal ban gaya huzur
haram se sari laundiyan hawa uda ke le gai

azim qila-dar sab asir kar liye gae
jo jang-ju the na-tawan hawa uda ke le gai

bahaar chhin li gai khizan ka daur aa gaya
shagufta bel-butiyan hawa uda ke le gai

khusha wo lahr-e-inqalab khatm ho gaya azab
magar wo khwab ka jahan hawa uda ke le gai

sawad-e-qatl-gah ke khilaf raushni hui
firangiyon ki topiyan hawa uda ke le gai

rawa-rawi ne zindagi ko aaina dikha diya
magar ghazal se shokhiyan hawa uda ke le gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close