khuda wo din na dikhae ki sarfaraaz karen fuzul sher kahen aur is pe naz karen badalne wala hai jughrafiya gulistan ka giroh-bandi se lazim hai ehtiraaz karen mahabali ki padosi udate hain khilli zamir bechne wale na fash raaz karen abhi shikast yaqini nahin bata do unhen mere khilaf abhi aur saz-baz karen janab-e-shaikh bhi zalim ke ittihadi hain ye nasl-e-nau ko hidayat sukhan-taraaz karen hawa-e-shahr hai masmum hoshiyar raho ajab nahin tumhein taqsim chaal-baz karen anaj bantte phirte hain ab wo basti mein jo khair-o-shar mein yaqinan na imtiyaz karen khuda ke khauf pe ghaalib waba ka khauf hua ye hukm hai ki akele ada namaz karen janaza amn ka niklega dhum se ab ke duaen karte rahen aap wo niyaz karen