jahan pe phul the aur yaad bhi tumhaari thi

jahan pe phul the aur yaad bhi tumhaari thi
usi padaw pe hum ne thakan utari thi

usi ka aks tha wo chand tha ki suraj tha
magar wo dekhne wali nazar hamari thi

subuk-khiram chala aur kabhi main thahra raha
ki meri apne hi sae se jang jari thi

main apne khwab ke andar bhi khwab dekhta tha
khuli jab aankh to ek kapkapi si tari thi

main us ke dil se jab utra to zakhm aae nazar
ki us ke mithe se lahje mein sang-bari thi

main us ke hijr ki aatish mein kuchh jala aise
kada tha din bhi bahut raat mujh pe bhaari thi

main shakh-e-dil se uthata tha phul girye ke
adu ki aankh mein manzar wo tez aari thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close