kuchh batao to sahi ab ke tamasha kya hai hont par tale lage sab ke tamasha kya hai dil ke ek mod pe rahta hai tamanna ka hujum jaane wale to gae kab ke tamasha kya hai zulm dhao ya bana dalo mohabbat ka safir hum nahin rahte kahin dab ke tamasha kya hai jis ki khamoshi se nikla hai sahar ka suraj hum musafir hain usi shab ke tamasha kya hai rang maddham hain magar pyar ki khushbu na gai phul taza hain teri chhab ke tamasha kya hai dard ke saz pe hum ne bhi ghazal-khwani ki git likkhe hain tere lab ke tamasha kya hai tum to duniya ho badalna hai watira tera hum kahan bande tere dhab ke tamasha kya hai sirf tum hi to bulandi pe nahin ho taro hum bhi 'manzar' hain usi rab ke tamasha kya hai