jahan raqs karte ujale mile wahin dil ke tute shiwale mile na puchho bahaaron ke rahm-o-karam ki phulon ke hathon mein chhaale mile meri tira-bakhti aur un ki hansi siyahi mein kirnon ke bhaale mile na kuchh motiyon ki kami thi magar bhanwar se hamein sirf haale mile main wo raushni ka nagar hun jahan charaghon ke chehre bhi kale mile dimaghon se un ko mitaoge kya kitabon se jin ke hawale mile hamari wafaen thithurti rahen tumhein rahmaton ke doshaale mile thi 'rahi' ki manzil bhi sab se alag use ham-safar bhi nirale mile