jahan sawal KHushi na-KHushi ka aa jae

jahan sawal khushi na-khushi ka aa jae
khamoshiyon mein wahan muddaa kaha jae

dil-o-nazar ke ujale dikhaenge rahen
chale chalo ki jahan tak ye silsila jae

mile panah na alfaz mein gham-e-dil ko
koi sune bhi to kyunkar bayan kiya jae

nashat-e-did na ho bais-e-shikast-e-nazar
nigah-e-dil mein koi is ada se aa jae

ye faisla bhi to hota nazar nahin aata
paraya kaun hai apna kise kaha jae

palat palat ke nazaron ko dekhne wala
qadam qadam pe nazar ko sanbhaalta jae

udhar wo un ki nazar kaif-o-imbisat-angez
idhar ye dil ki ba-har-lamha tutta jae

hazar wajh-e-nadamat ho ye rawish lekin
khulus-e-dil ka 'rishi' haq ada kiya jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close