kitni manus-nigahi ke fusun chaunk paDe

kitni manus-nigahi ke fusun chaunk pade
us ne begana adai se jab irshad kiya

un ki nazron mein hamin jaur ke qabil thahre
chahne walon ko hi kushta-e-bedad kiya

yaad ek tute ta'alluq ki dilane ke liye
bhuli-bisri hui yaadon ne hamein yaad kiya

dil bhi kya shokh-tabiat hai ki sapnon ka nagar
abhi basne bhi na paya tha ki barbaad kiya

ghut ke marne ke saliqe bhi sikhae hote
dil-figaron ko asiri se to aazad kiya

hum ne to ghar mein bhi dekhi na sukun ki surat
'ghaalib'-e-khasta ne kyon dasht mein ghar yaad kiya

kaisi uftad padi shahr-e-tamanna pe 'rishi'
jis ne aabaad kiya us ne hi barbaad kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close