jahan se aae the shayad wahin chale gae hain wo sahiban-e-bashaarat kahin chale gae hain zamin pe rengte rahne ko hum jo hain maujud jo ahl-e-sharm the zer-e-zamin chale gae hain bahisht hai ki nahin hai ye tu hi jaanta hai tere faqir ba-nam-e-yaqin chale gae hain dikhai denge kabhi waqt ke jharokon se wo log ab bhi yahin hain hamin chale gae hain wahi hua hai jo hota hai sone walon se ai mere dil tere pahlu-nashin chale gae hain hamari aankh 'shanawar' hui hai kya namnak sukhan-saraon se zehra-jabin chale gae hain