muddaa-o-arzu shauq-e-tamanna aap hain kis ko kis ko main bataun mere kya kya aap hain mai-kada saghar surahi aur sahba aap hain jo kisi surat na utre aisa nashsha aap hain jis pe karti hai mohabbat meri dawa aap hain jis ka dil sham-o-sahar padhta wazifa aap hain ai meri jaan-e-ghazal shahr-e-wafa-o-shauq mein meri azra aur salma meri nura aap hain aap hain ai jaan-e-jaan mere sukhan ki aabru sach to ye hai ki ghazal ka misra misra aap hain aap ki zulfon ka main hi to nahin tanha asir kar gai barbaad jo zahid ki taqwa aap hain jazba-e-pakiza mere dil ka hain kuchh aap hi meri chashm-e-shauq ka sara tamasha aap hain ahd-e-piri mein ghazal 'tarzi' miyan aisi jawan ishq mein kis ke bhala itne bhi ruswa aap hain