jahan se be-talluq aap se begana ho jae bada hoshiyar hai wo jo tera diwana ho jae rahen baqi na us ke hosh wo diwana ho jae karam jis par tera ai jalwa-e-jaanana ho jae na kyun wo be-niyaz-e-shisha-o-paimana ho jae tumhaari mast mast aankhon ka jo mastana ho jae ada-o-naz aur andaz ka shaida na ho jae mera nazon ka pala dil kahin un ka na ho jae jabin-e-shauq ho sang-e-dar-e-jaanan se mas aisi jabin-e-shauq hi sang-e-dar-e-jaanan na ho jae haqiqat mein wahi dil mustahiq hai dil dukhane ka teri sham-e-rukh-e-raushan ka jo parwana ho jae karamat pine walon ki abhi dekhi nahin waiz jahan jam jaen baada-kash wahin paimana ho jae sada-e-'sabir'-e-ghamgin suni jab apne kuche mein kaha ki kya karen koi agar diwana ho jae