kabhi raste ko rote hain kabhi mushkil ko rote hain jo nakaame safar hote hain wo manzil ko rote hain zara andaz to dekhe koi in dil-figaron ka palatte hain waraq mazi ka mustaqbil ko rote hain khudaya kis qadar nadan hain ye kashtiyan wale samundar par nazar rakhte hain aur sahil ko rote hain badal din inqilab-e-waqt ne qadren zamane ki sajate the jo khud mahfil wo ab mahfil ko rote hain guzarti hai isi aalam mein 'rahbar' zindagi apni kabhi dil hum ko rota hai kabhi hum dil ko rote hain