jahan tak gaya karwan-e-KHayal

jahan tak gaya karwan-e-khayal
na tha kuchh ba-juz hasrat-e-paemal

mujhe tera tujh ko hai mera khayal
magar zindagi phir bhi hai khasta-haal

jahan tak hai dair o haram ka sawal
rahen chup to mushkil kahen to muhaal

teri kaenat ek hairat-kada
shanasa magar ajnabi khadd-o-khal

meri kaenat ek zakhm-e-kuhan
muqaddar mein jis ke nahin indimal

nai zindagi ke nae makr o fan
nae aadmi ki nai chaal-dhaal

hue rukhsat anjum sahar ke qarib
na dekha gaya shayad apna maal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close