jae khirad nahin hai ki farzana chahiye hu ka maqam hai koi diwana chahiye hai is mein qaid-e-shahr na virana chahiye bahr-e-faragh tab-e-faqirana chahiye gunjaish-e-tasawwur-e-yak-lafz bhi nahin yan har kisi ke waste afsana chahiye yan har qadam hai mahshar-e-imkan-e-nau-ba-nau yan har qadam pe sajda-e-shukrana chahiye jab tak ki hain zamane mein hum se kharab log masjid kahin kahin koi mai-khana chahiye malum hai khuda ko jo haalat dilon ki hai ai shaikh hum faqiron pe fatwa na chahiye rakhte hain 'anjum' aap jo auron ke waste apne liye bhi to wahi paimana chahiye