jahan tegh-e-himmat alam dekhte hain mahaalat ka sar qalam dekhte hain jo baithe the yan pa-ba-daman-e-hasti unhen sar-ba-jeb-e-adam dekhte hain kamalat-e-sanea pe jin ki nazar hai wo khubi-e-masnua kam dekhte hain nahin mubtala jo tan-asaniyon mein unhen dam-ba-dam taza-dam dekhte hain nahin jin ko jah-o-hasham ka takabbur wahi lutf-e-jah-o-hasham dekhte hain shikam-parwari jin ka shewa hai un ko asir-e-jafa-e-shikam dekhte hain bas ai rang-o-bu tu na kar naz be-ja khuda jaane kya baat hum dekhte hain udate hain jo rakhsh-e-himmat ko sarpat wo manzil ko zer-e-qadam dekhte hain