itna to jaante hain ki bande khuda ke hain aage hawas gum khirad-e-na-rasa ke hain mamnun-e-barg-e-gul hain na sharminda-e-saba hum bulbul aur hi chaman-e-dil-kusha ke hain kya kohkan ki koh-kani kya junun-e-qais wadi-e-ishq mein ye maqam ibtida ke hain bunyan-e-umr sust hai aur muniman-e-dahr maghrur apne ko shak-e-ali bina ke hain apne wajud ka abhi uqda khula nahin masruf hill-o-aqd main arz-o-sama ke hain shaikh aur barhaman mein agar lag hai to ho donon shikar-e-ghamza usi dil-ruba ke hain jin ko inayat-e-azali se hai chashm-dasht wo mo'taqid dua ke na qael dawa ke hain laya nahin hunuz nawed-e-visal-e-dost hum shikwa-sanj susti-e-paik-e-saba ke hain samjho agar to hain wahi sab se haris-tar talib khuda se jo dil-e-be-muddaa ke hain un bad-dilon ne ishq ko bad-nam kar diya jo murtakib shikayat-e-jaur-o-jafa ke hain himmat huma-e-auj-e-saadat hai mard ko ullu hain wo jo shefta zill-e-huma ke hain hai ashk-o-ah ras hamare mizaj ko yani pale hue isi aab-o-hawa ke hain jo bandhte hain turra-e-tarrar ka khayal nadan umid-war nuzul-e-bala ke hain khatka bhi kuchh hua nahin aur dil uda liya ye sare hathkande teri zulf-e-dota ke hain said-e-karishma is liye hote nahin ki hum pahle se zakhm-khurda fareb-e-wafa ke hain mara bhi aur mar ke zinda bhi kar diya ye shoabde to shokhi-e-naz-o-ada ke hain khalwat mein bhi rawa nahin gustakhi-e-nigah parde pade hue abhi sharm-o-haya ke hain yun kah rahi hai nargis-e-bimar ki ada nuskhe to mujh ko yaad hazaron shifa ke hain ab tak hai sajda-gah-e-azizan-e-rozgar jis khak par nishan tere kafsh-e-pa ke hain andesha hai ki de na idhar ki udhar laga mujh ko to na-pasand watire saba ke hain sair-e-warud-e-qafila-e-nau-bahaar dekh barpa khiyam auj-e-hawa mein ghata ke hain jata hai khak-e-pak-e-deccan ko ye rekhta wan qadr-dan is guhar-e-be-baha ke hain ahbab ka karam hai agar nukta-chin na hon warna hum aap mo'tarif apni khata ke hain