jahan tera naqsh-e-qadam dekhte hain khayaban khayaban iram dekhte hain dil-ashuftagan khal-e-kunj-e-dahan ke suwaida mein sair-e-adam dekhte hain tere sarw-qamat se ek qadd-e-adam qayamat ke fitne ko kam dekhte hain tamasha ki ai mahw-e-aina-dari tujhe kis tamanna se hum dekhte hain suragh-e-taf-e-nala le dagh-e-dil se ki shab-rau ka naqsh-e-qadam dekhte hain bana kar faqiron ka hum bhes 'ghaalib' tamasha-e-ahl-e-karam dekhte hain kisu ko za-khud rasta kam dekhte hain ki aahu ko paband-e-ram dekhte hain khat-e-lakht-e-dil yak-qalam dekhte hain mizha ko jawahar raqam dekhte hain