jahan un ko un ke ishaaron ko dekha wahin dil ki sazish ke maron ko dekha main kuchh be-tuki baaten baaten suna dun tadapte hue aabshaaron ko dekha sitare bhi sone lage wo na aae khilaf-e-tamanna sahaaron ko dekha bhanwar ke fasane sunata raha hun na sahil ko dekha na dhaaron ko dekha jahan khud ko dekha khizan hi khizan hai jahan un ko dekha bahaaron ko dekha kiya ehtijaj is zamane ne us ka kisi dhun mein jab be-qararon ko dekha ye chhup-chhup ke yakja piyen 'daur'-o-zahid kisi ne bhi in shahkaron ko dekha