ho raha hai tukde tukde dil mere gham-khwar ka hai mere zakhm-e-jigar mein kat tegh-e-yar ka shor hai ghul hai jahan mein murdan-e-dushwar ka ek chalta war hai tegh-e-nigah-e-yar ka naghma dilkash hai dushman andalib-e-zar ka hai qafas mein band hona kholna minqar ka mast kuchh aisa hun chashm-e-nim-e-mast-e-yar ka zarf khali jaanta hun saghar-e-sarshaar ka kya kahun kya haal hai mujh na-tawan-o-zar ka hun nigah-e-wapsin apni dil-e-bimar ka aasman phirta hai hasb-e-mudda-e-muddai rah par lana ghazab hai aise kaj-raftar ka bal be-bad-khui mizaj-e-yar mein sau bal pade ek bal nikla jo tar-e-gesu-e-kham-dar ka dast-e-saqi par lagae aankh rahta hai mudam jam-e-mai hai dida-e-hasrat kisi mai-khwar ka kis qadar bashshash hai asrar se khali nahin rang mera ud gaya munh dekh kar sofar ka main giraftar-e-wafa hun chhut ke jaunga kahan baal bandha chor hun har tar-e-zulf-e-yar ka koi ek gardish to ho aisi bhi han ai chashm-e-yar shaikh puchhe mujh se rasta khana-e-khummar ka wah re qismat ki wo mere muqaddar mein pada aah ne jo bal nikala charkh-e-kaj-raftar ka le chalo waiz ko hathon-hath uthae mai-kasho pasban chal kar bana do khana-e-khummar ka jaan sunne walon ki waiz labon par aa gai wah kya kahna hai hazrat aap ki guftar ka hai jo uftadon se kuchh nafrat to nafrat hi sahi kyun zamin par gir pada saya teri diwar ka shakl-e-marham dekh kar darta hai mera zakhm-e-dil khol kar aankh apni dekha hai jo munh sofar ka nala mere lab pe aata hai jo sau sau naz se koi partaw le uda shayad teri raftar ka ye to zahir hai ki wasl un ka kahan aur hum kahan lekin is paigham mein kuchh lutf hai takrar ka dil ko le ja mujh se ya to aap le ya bant de par ye hissa hai teri gesu ke ek ek tar ka al-aman us burrish-e-tegh-e-nazar se al-aman manti hai barq bhi loha teri talwar ka hath sambhla rakhiyo ai mashshata-e-jadu-taraaz ek jahan-e-dil hai basta turra-e-tarrar ka hun to diwana wale hushyari-e-matlab to dekh sar bhi phoda dhund kar patthar teri diwar ka kuchh idhar se arz matlab aur udhar se kuchh nahin ek judagana maza hai wasl mein takrar ka kitna gustakhi se khincha hai tujhe aaghosh mein main gale ka haar hun tere gale ke haar ka kyun nahin girta mere aafat-zadon par hae hae aasman bhi hai magar saya teri diwar ka chhu gai kafir hawa kis ki nigah-e-garm se phul kumlaya hua hai kuchh gul-e-rukhsar ka milti hai aakhir ko kuchh kaifiyat-e-soz-o-gudaz saiqa hissa hai pahla talib-e-didar ka ek jalwa par chamak uthti hai sab aqlim-e-ishq kaun aalam hai hamare dida-e-bedar ka aasman rakhta hai aankhen mehr-o-mah se us se puchh kaun aalam hai hamare dida-e-bedar ka husn mein khud-raftagi hai to nahin mane hijab bu-e-gul ko phandna kya bagh ki diwar ka wo hi apni chaal hai koi mare koi jiye le ude sara chalan tum charkh-e-kaj-raftar ka nakhun-e-shamshir-e-qatil ko dua dete hain hum uqda khola khub 'anwar' murdan-e-dushwar ka