jahan wo zulf-e-barham kargar mahsus hoti hai wahan dhalti hui har dopahar mahsus hoti hai wahi shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsus hoti hai kami jis ki barabar umr bhar mahsus hoti hai jatan bhi kya hasin sujha hai tujh ko pyar karne ka teri surat mujhe apni nazar mahsus hoti hai gali kuchon mein sehn-e-mai-kada ka rang hota hai mujhe duniya tera kaif-e-nazar mahsus hoti hai zara aage chaloge to izafa ilm mein hoga mohabbat pahle pahle be-zarar mahsus hoti hai ye do patthar na jaane kab se aapas mein hain wabasta jabin apni tumhaara sang-e-dar mahsus hoti hai kabhi sach to nahin us aankh ne bola magar phir bhi rawayye mein nihayat mo'atabar mahsus hoti hai adam ab doston ki be-rukhi ki hai ye kaifiyyat khatakti to nahin itni magar mahsus hoti hai