kahan hum aur dushman mil ke donon koi dam baithe jo wo baitha to hum utthe jo wo uttha to hum baithe rasai baam tak apni na hogi ya kabhi hogi ye pahron sochte hain kucha-e-jaanan mein hum baithe ye kis andaz se kahte hain sun kar dastan meri jahan puchha kisi ne le ke ye tumar-e-gham baithe ye qismat ke farishte hain ye khubi hai muqaddar ki faqat khizar uth jaen duniya se rahen ai 'nuh' hum baithe