jahan zamin ka TukDa makan Thahrega

jahan zamin ka tukda makan thahrega
wahin to qafila-e-jism-o-jaan thahrega

jo sar khamida ho gardan usi ki jaegi
jo sar uthae wahi hukmran thahrega

main chup rahun bhi to ilzam aaega mujh par
wo sab kahega magar be-zaban thahrega

nishana ek hai aur sath sath chalta hai
yahi to rishta-e-tir-o-kaman thahrega

buland bang ka lahja thi baat bhi sachchi
har ek lafz mera ab azan thahrega

hamare daur mein bhi ji ke dekhiyo 'ghaalib'
zamin ke samne kya aasman thahrega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close