ab apne aap ko rakkho jala ke raste mein charagh kis ka jala hai hawa ke raste mein hain sar-ba-sajda magar sar-ba-kaf nahin hote farishte ban gae insan khuda ke raste mein hamara khun to pani ke mol bikta hai milega sar na koi karbala ke raste mein main apna nama-e-amal kis se uthwaun bana hai rah ka patthar dua ke raste mein wo shahr-yar hai lekin hansi se darta hai hai us ka daur-e-hukumat fana ke raste mein main apni manzil-e-maqsud tak nahin pahuncha bhatak raha hun abhi tak ana ke raste mein wo naqsh-e-pa to kisi kaam ke nahin 'jawed' thahar saken na kabhi jo hawa ke raste mein