jaisa chaha waisa manzar dekha hai yani hum ne apne andar dekha hai un aankhon ko dekhne wale kahte hain is duniya ko hum ne behtar dekha hai jaane wale tujh ko itna yaad rahe hum ne tera hath pakad kar dekha hai teri kaise ban jati hai duniya se main ne apna aap badal kar dekha hai