khauf ban kar ye khayal aata hai aksar mujh ko dasht kar jaega ek roz samundar mujh ko main sarapa hun khabar-nama-e-imroz-e-jahan kal bhula de na ye duniya kahin padh kar mujh ko har nafas mujh mein taghayyur ki hawae larzan murtasim kar na saka koi bhi manzar mujh ko apne sahil pe main khud tishna-dahan baitha hun dekh dariya ki tarai se nikal kar mujh ko mere sae mein bhi mujh ko nahin rahne dega mere hi ghar mein rakhega koi be-ghar mujh ko kargar koi bhi tadbir na hone dega kya muqaddar hai ki le jaega dar-dar mujh ko kaam aaegi na bedar-nigahi bhi 'amir' khwab kah jaega ek din mera paikar mujh ko