jaisa hamein guman tha waisa nahin raha qissa bhi ikhtitam pe qissa nahin raha ek khauf sath sath hai unche makan ka aisa nahin ki shahr mein saya nahin raha sailab apne sath baha le gaya use nila subuk-khiram wo dariya nahin raha kashti ke baadban mein simti rahi hawa lutf-e-safar ki main tha akela nahin raha milti hai bich bich mein shahron ki raushni sahra ka gasht khel-tamasha nahin raha kahte nahin ho sher buzurgon ki tarz par tum ko 'suhail' khauf khuda ka nahin raha