khair us se na sahi khud se wafa kar dalo waqt ab kam hai bahut yaad-e-khuda kar dalo ek surat hai yahi panw jame rahne ki hath uthao dil-e-sabit ki dua kar dalo harf-e-inkar bhi us dar se badi neamat hai ye faqiron ke hain asrar sada kar dalo aur duniya mein bahut kuchh hai gulistan ki tarah sair tum bhi kabhi ham-rah-e-saba kar dalo habs hota hai ajab dil mein tere gham ke baghair ji ulajhta hai kuchh is tarah ki kya kar dalo umr bhar aaegi hathon se gulabon ki mahak khar-zaron ka safar barhana-pa kar dalo ye malamat na suno dil ki shab-o-roz 'suhail' jaan hi ka to ziyan hoga wafa kar dalo