jaisa huzur kahenge bilkul waisa hoga yani phir gudiyon ka khel-tamasha hoga mahal to holi diwali ke liye bane hain aag ka ramaq to la-waris ka khema hoga khaari pani ki jhilen sab bach jaengi luqma siyah samundar ka bas dariya hoga meri teri aankh ki qismat kankar mitti un ki aankh ki zinat ho to surma hoga dozakh ke sab darwaze to khule hue hain jannat ke darwaze par kya tala hoga sahil par jab sabz farishte hi rahte hain dariya mein phir kis ne zahr milaya hoga mera salam us shahzade ko pahuncha jis ke be-sar jism pe ek bosida kurta hoga