jaise ham-bazm hain phir yar-e-tarah-dar se hum raat milte rahe apne dar-o-diwar se hum sarkhushi mein yunhi dil-shad o ghazal-khwan guzre ku-e-qatil se kabhi kucha-e-dildar se hum kabhi manzil kabhi raste ne hamein sath diya har qadam uljhe rahe qafila-salar se hum hum se be-bahra hui ab jaras-e-gul ki sada warna waqif the har ek rang ki jhankar se hum 'faiz' jab chaha jo kuchh chaha sada mang liya hath phaila ke dil-e-be-zar-o-dinar se hum